कल रात मैं घर नहीं गया

Kal raat
main ghar nahi gya

Kuch ajeeb c uljhan thi shayad
Hazaron baten dod rahi thi zehan me
Ya shayad vo ek hi baat kha rahi thi mujhe
Kuch samajhna, mushkil sa tha shayad
Ya bas yuhin ye dil bechain tha
Par han
Kal raat main Ghar nahi gya...

Main poori raat
Vahin usi kursi par betha raha
Or jab kuch samaya baad fir
vahin gardan latka kar
Nidra me leen hone laga
To achank fir kuch khyal Aya
Or main nahin so paya

Shayad,
kuch ek hi
saral sa khayaal hota
To ghar chala jata...
Main yun
Apne mobile pe
Samya dekhne ke baad bhi
Ek soch me dooba nahi rehta
Or shayad
Or
Shayad main vo akhiri train le pata

Par kal raat main
Ghar nahi gya...

Sach kahun
To nahi malum
Ke main ghar nahi gya
Ya ja nahi paya
Par agar chala jata to kya hota
Shayad
Vo vichar ghar pahunchne par bhi
Mujhe yuhin kaat te
Or main fir so nahi pata..
Ya shayad mujhe sukoon ki neend aa pati
Nahi malum

Par kal raat main
Ghar nahi gya...

Kal raat ke baad main ab
Ghar ja raha Hun
Par abhi bhi ye khyal
Kal ki tarah hi
Mere dilo-o-dimaag ko ghere khade hain
Kya aj,
Main ghar ja pa raha hun?
Nahi
Aj mujhe
Ye zindagi ki bediyan ghar le ja rahi Hain
Jo har pal mujhe jakde rehti hain
Bas kabhi kabhi
Main is dil ki awaaz sun
Ghar nahi ja pata hun,
Or apni is kalam ke saath
Bas kuch gooftgun karte huye
Sone ki koshish karta rehta hun

Main jese kal raat ghar nahi gya
Han main esi bahut si raaten
Ghar nahi ja pata hun
Ghar nahi ja pata hun...


Comments

Popular posts from this blog

Tera gum

समन्दर