कल रात मैं घर नहीं गया
Kal raat main ghar nahi gya Kuch ajeeb c uljhan thi shayad Hazaron baten dod rahi thi zehan me Ya shayad vo ek hi baat kha rahi thi mujhe Kuch samajhna, mushkil sa tha shayad Ya bas yuhin ye dil bechain tha Par han Kal raat main Ghar nahi gya... Main poori raat Vahin usi kursi par betha raha Or jab kuch samaya baad fir vahin gardan latka kar Nidra me leen hone laga To achank fir kuch khyal Aya Or main nahin so paya Shayad, kuch ek hi saral sa khayaal hota To ghar chala jata... Main yun Apne mobile pe Samya dekhne ke baad bhi Ek soch me dooba nahi rehta Or shayad Or Shayad main vo akhiri train le pata Par kal raat main Ghar nahi gya... Sach kahun To nahi malum Ke main ghar nahi gya Ya ja nahi paya Par agar chala jata to kya hota Shayad Vo vichar ghar pahunchne par bhi Mujhe yuhin kaat te Or main fir so nahi pata.. Ya shayad mujhe sukoon ki neend aa pati Nahi malum Par kal raat main Ghar nahi gya... Kal raat ke baad main ab Ghar ja ...