Yun Hi
Kuch sawaal hain
Jo har baar poochte hain vo
Har baat pe, Har mulakaat pe
Or unka jawab main
Aaj bhi nahi de pata hun
Poochte zaroor hain vo hamse har baar
Or main bas "yun hi" bolkar
Chup ho jata hun
Jee chahta hai ke bina soche
Bas bol dun sab
Par fir kahin andar se
Koi to rok sa leta hai
Or ehsaas hota hai ke mano
Kisi nadi ke bahav ko rok liya ho
Ik uthti awaz ko daboch liya ho
Dharti or asmaan ki Milne ki chahat ko
In pahadon ne rok liya ho,
Or tere mere ek hone ko
Is kambakhat kayanaat ne hi rok diya ho.
Hai, han hai tumhara har sawal ka jawab mere pass
Na Jane fir bhi bas
"Yun hin" bol kar muskura deta hun
Sochta kun ke kabhi samjho is khamoshi ko
To iska karan btaun
Or tumhare har sawal ka jawab dun,
Par shayd tum bhi
Janti hi ho in sawalon ke jawab
Or shayad sun na nahi chahti
Kyunki,
Bas Yun hi..
- Rahul
Comments
Post a Comment