Neend
Ghira hun main itne khyalon se
Ke ab neend nahi aati
Badi asmanjasta hai ke
Main keh dun kisi ko
ya likh dun sab
Par na koi kalam or
na hi koi shakshiyat nazar aati
Ladkhadata rehta hun bas in tufanon me
Main Tanha, akela or majboor,
Sach hai ke ye zindagi bhi sali
Har kisi ko raas nahi aati..
Ghira hun main itne khyalon se
Ke ab neend nahi aati
Poochta hun main khud se,
Ke kyun hai ye khyaal,
Akhir kya hai ye khyaal
Par pta nahi kyun,
Andar se koi awaaz nahi aati
Yakeen hone lagta hai mujhe kabhi kabhi
Maut par Zindagi se zayada
Par kehte hain maut bhi
Maangne se nahi aati,
Ghira hun main bas in khyalon se
Ke ab neend nahi aati
-Rahul
Comments
Post a Comment